Happy Story of Nanha Nattu (SBI Associate - Clerk)

July 14, 2015    

Hello Mere Pyaare Dostonnn......
Main Hoon Nanha Nattuuuu.... Aap Mein se Bahot Log Mujhe Jante Hain and Bahot Se Aise Hain Jo Mujhe Nahin Jante... Main aaj apne baare me aapko batana chahta hoon... Aaj ye story main isliye likh raha hoon kyunki aaj main bahot khush hoon... BankersAdda me mere is story ko Success Story ke title se publish kiya jaayega.. par agar aap sab mjhse puchhen to main apni is story ko Happy Story ke naam se bayaan kar raha hoon....

Main aaj khush isliye hoon ki ..Kal State Bank Clerk Associate ka result aaya and main usme pass ho gya..... Jyda Khushi is baat ki nahin hai ki meri naukri lag gyi aur main paise kamaunga..... Jyda Khushi is baat ki hai Mere Papa mummy ke chehre khushi se khil uthe... Mere Pados me rehne wale Uncle Aunty jo har doosre din mere papa-mummy se aake puchhte the ki aapka ladka kahin settle hua aur mere papa mummy ko sir jhhuka ke jawab dena padta tha, ab mere papa mummy ye keh sakte hain ki 'haan humara ladke ka state bank me job lag gaya'..... Doston sahi maayine me khushi yahi hai mere liye......
Doston aaj tak main life me hamesha fail hi hota gayaa... Main padhai me kabhi jyda achha nahin reh paaya... par maine hard work hamesha kiya... but mera dimiag baakiyo jitna fast and strong nahin hai.. mai concept ko jaldi nahin pakad paata.... Bachpan me maine socha Biology lunga, doctor banunga... Meri cousins ne mere papa ko kaha ki Biology me PMT bht hard hai, Maths lene kahiye ise..... and mere papa ne Mujhe maths lene ko kaha... maine Maths le liya....... Bina exam diye hi mere sapne fail...
Uske baad maths leke socha maine ki NIT me admission lunga.... AIEEE diya maine, usme bhi fail.... Then jab state level Pre Engineering Test me maine exam pass kiya and Engineering college me admission liya, wahan bhi pehle hi semester me main fail .... Uske baad baaki semesters me bhi kisi na kisi subjects me fail..... Dhire dhire karke maine apna Engineering khatam kiya..... Engineering khatam karne ke baad maine GATE ka exam dia... usme bhi fail...... Doston maine har exam ke liye padhai ki thi par fir bhi fail hi hota chala gya....
GATE me fail hone ke baad mjhe mere maama ne advice kiya ki main banking ke lie try kyun nahin karta.. kyunki banking bhi bahut achha sector hai... aur ab Engineering line ki wo value bhi nahin reh gyi jo aaj se 8-10 saal pehle thi.. ab to engineers ko private companies 8-10K salary me rakh rahe hain..... Maine socha baat sahi hai.... Mujhe Banking ki ore focus karna chahiye.....Maine Banking ke liye taiyari shuru ki hi thi ki SBI PO 2014 ki vacancy aa gyi.. mai bahot khush hua ki maine abhi taiyari shuru ki aur abhi vacancy nikal gyi... Khushi Khushi form fill kiyaa...aur exam diya mehnat kiya jitna kar sakta tha.. par fir se fail..
Fir uske just baad RRB PO ka exam hua...usme bhi fail.... Fir RRB clerk ka exam hua.... Usme maine pehli baar kisi bank exam ka cut off paar kiya tha.. and main itna khush hua us din itna khush hua.. mai bata nahin sakta main kitna khush hua...... Par mjhe baad me pata laga ki RRB me sirf cut off cross karna hi kaafi nahin.... usme to marks 180-190 jaate hain.. jab mjhe is baat ka ehsaas hua to maine mehsoos kiya, ye to firse fail ke hi samaan hai..... Then uske baad IBPS PO aaya.. main firse fail... and Then IBPS Clerk... Usme main pass hua and interview me bhi gya.. but interview ke baad firse fail..... Aur bhi doosre doosre exams diye maine RBI, Insurance and sabme fail hi hota chala gya....
Ek din main nirash hoke baitha tha... wo din tha 1 April 2015.. jab IBPS ka result aaya tha..... meri aankhon me aansu the mann me udaasi.. main yahi soch me tha ki kya main kuchh kar paunga... Usi waqt maine Facebook me ek quote padha....
"If you can't run then walk, if you can't walk then scrawl, .. but always keep moving in life... " 
Aisa nahin hai friends ki maine wo quote kabhi padha nahin tha.. aise bahot se quotes maine padhe the pehle bhi... but us samay mai jab really depressed tha maine us time us quote ko bahut hi baariki se socha..... Pehle jab mai padhta tha to sirf padh ke aage badh jaata tha .... par us time mujhe sochne ka mauka mila.....aur maine gehrai se socha........
Maine faisla kiya ki ab mjhe aage badhne hi jaana hai.. mai himmat haar ke baith nahin sakta......Apne liye, apne mummy papa ke liye...... Then maine turant apne maths ka book nikala aur question solve karne me lag gyaaa....aur mai firse waise hi mehnat karne lag gya jaise karta tha.. ab maine result ki parwah karna chhod diya... Maine ek chij seekh liya tha ki Expectation hi wo chij hai jo hurt karta hai... Maine socha ab mai expect hi nahin karunga ki main pass hounga.. jab mai expect nahin karunga to mjhe fail hone ke baad hurt bhi nahin hoga aur mera confidence bhi nahin girega... Then main har exam ke liye mehnat karte gya and maine result ke liye expectation rakhna bhi kum kar diya har exam ke liye.....
Then usi time SBI Associate Clerk ka result aaya.. aur maine apna roll number pdf me dekh ke  bahut achha laga.. lekin us waqt mann me mjhe ye bhi khayal aaya ki written me to IBPS Clerk me bhi ho gya tha.. kahin fir se waise hi mat ho.. aur meri khushi aadhi ho gyi.. aur main firse interview ke baare me sochne lag gya.. aur interview ke khatam hone tak yahi tension raha ki kahin interview bigad na jaaye.... Socha tha expectation nahin karunga par written pass hone ke baad expectation firse ho gya aur usi expectation ne darr laa diya fail hone ka....Par interview utna bura nahin gya aur mai khushi khushi interview deke wapas aa gya.... Din beet gaye aur main interview ke result ke baare me sochna bhi band kar diya... aur mai doosre exams me lag gya....Ab mujhme thoda improvement aaya.. aur mere fail hone ka margin kum hota gya... pehle main 10-20 marks se fail hota .. ab mai 4-5 marks se fail ho raha tha.. isse mjhe apne aap me laga ki  thoda aage badh raha hoon......margin kum ho raha hai....
Sabse jyda khushi mjhe tab hui jab maine SBI PO Pre me wo me Congratulations wala message dekha.... bahut achha laga.. par mjhe pata tha ki abhi iske final result ke liye bahot time hai... aur maine SBI Mains ke liye taiyaari shuru kar di.....
Jaise hi maine SBI Mains ki taiyaari shuru kar di sab kuchh side karke...... aur main to Associate clerk ka result bhool bhi gya tha... waise hi Usi din result aaya aur Result wale pdf me doston jab mjhe apna roll number search karna tha... Sach bataun to mere fingers kaamp rahe the ki apna roll number daal ke search karun is pdf me aur agar result not found ho gya to ek hi baar mein dil toot jaayega.... Isliye maine control+F  wala option use nahin kiya.. himmat nahin hui.. maine manually roll number apna dhundna shuru kiya... taaki jab tak roll number dhundu thoda andar se himmat jama kar paaun khud ko strong kar loon fail  hone ke condition ke liye..... 
Aur wo ek second aaya jab meri saansen ruk si gayi... wo second tab tha jab mera roll number us final result ke pdf me mjhe mila.... Khushi se jhoom utha mann....Kya karun, kya na karun.. us momemt ko bayaan karna words mein is wqt mere liye mushkil hai.. Lekin us ek pal ne mere past ke saare fails ko aur unse lage hue dard ko pal me bhula diya... pal me saaf kar diyaa.....Maine sabse pehle mann me kaha.. "Thank you god.. thank you god.. thank you godd..".... Mujhe ab bhi yaad hai, maine teen baar kaha tha aur uske baad maine phone utha ke papa ko phone laga ke jaise hi kaha ki papa mera job lag gya.....papa mera state bank of hyderabad me selection ho gya.....aur papa ki awaaz jo maine suni phone me.. usse mjhe pata lag gya ki papa kitne khush hain....
Papa bahot khush the.. mummy se bhi usi waqt baat hui.. mummy bhi bahot khush thin.... yahi to mujhe chahiye the.. ab papa mummy ko mere relatives aur pados ke logon ke sawalon ka jawab dene me sir nahin jhhukana padega.. kyunki unke  bete ke pass bhi ab government job hai..... Papa mummy ki khushi me hi maine wo khushi mehsoos kar li jis khushi ke liye main itne saalon tak tarasta raha...
Maine turant BankersAdda site khola taaki apni khushi apne BankersAdda ke friends ke sath bhi share kar sakoon....... Meri Ankhen Ek Naam ko Dhund rahi thin.... Unka name hai "Tom Cruise"..... Tom Cruise Bhaiya mere sabse achhe friend hain BankersAdda mein.... Wo mjhe bahot motivate karte hain..... wo mere pehle friend hain jiinse maine BankersAdda me baat kiya tha... aur wo mjhe bahot achhe lagte hain.... Par wo mujhe us waqt nahin mile.....Mere kuchh aur bhi achhe friends bane hain itne dino mein jo bahot achhe hain... Pinks ji, May God Bless Me Bhaiya, aur Paglu Bhaiya..... 
Jab main apne friends ko dhund raha tha apni khushi share karne ke liye lo mujhe bahot se aise log bhi mile wo dukhi the, jinka final list me naam nahin aa paaya...... Maine koshish kiya ki unko motivate kar sakoon.. taaki wo let down na ho.... jitne aise dikhe mjhe us waqt, maine har kisi ko motivate karne ke liye message bhi likha aur comment bhi... par ye unke liye bahot dukh ka samay hai aur maine us dukh ko apne life me bahot baar mehsoos kiya hai... main janta hoon unko kaise lag raha hoga... Mujhe bahot bura laga jo fail hue unke liye.... I wish ki unka ho jaaye next time.... 
Maine itna kuchh likh diya aur mera itna kuchh likhne ke baad agar mjhe ek line me wo kehna ho jo main apne story ke zariye kehna chahta hoon to main bas ek hi line kehna chahunga...
"Friends, Hard Work Always Pays off... So Keep Working Hard till you achieve your goal.."
Is message ke sath.. last but not the least... main Thank you Kehna chahunga BankersAdda ki team ko jisne itna pyaara portal banaya jisne na sirf itna knowledge diya mjhe, balki mujhe Tom bhaiya jaisa friend bhi diya..... and main Thank you kehna chahunga un tamaan logon ko jinhone mjhe mere success me wish kiya kal result ke baad.... and main Thank you kehna chaunga ek khas insaan ko... Abhishek Bhaiya...ko.. English wale mod... Abhishek bhaiya, aap bahot achhe ho.. Jitne bhi mods hain, sirf aap hi ho jo mujhe reply karte ho and aap bahot motivate karte ho and aap bahot achhe ho ... Mujhe kabhi kisi mod ne reply nahin kiya... main hamesha sochta raha ki kya main itna bura hoon, mjhe koi mod reply hi nahin karta.. aapne meri is soch ko galat kiya and aapse baat krake bahot achha lagta hai and aapki English bahot bahot achhi hai.. Last but not the least, thank you so much Abhishek Bhaiya & BankersAdda...
Bas itna hi kehna tha mujhe doston... Meri story padhne ke liye thank you....
Aapka Apna,
Nanha Nattu.... :)

This entry passed through the Full-Text RSS service - if this is your content and you're reading it on someone else's site, please read the FAQ at http://ift.tt/jcXqJW.


Happy Story of Nanha Nattu (SBI Associate - Clerk) 4.5 5 Yateendra sahu July 14, 2015 Hello Mere Pyaare Dostonnn...... Main Hoon Nanha Nattuuuu.... Aap Mein se Bahot Log Mujhe Jante Hain and Bahot Se Aise Hain Jo Mujhe Nahin...


Load comments

No comments:

Post a Comment