BA ID - DUFFER BOY
Namaskar dosto....
Ap sabko pata hi hoga mere baare mai ki mai kaisa hu...
Apni story mai na koi chori ka chakar na koi tuta dil and na koi financial dikat . Hum to back benchers the humesha se dimag tez tha lekin padai kharab lagti thi .....
Graduation ke turant baad job mil jae..
Uske baare mai discussion nahi karna cahta khush nahi tha .. ghar wale bolte rehte bank job nikal lo .. maine 2015 mai banki ki preparation start ki IBPS PO Nikala, interview ki call aai bada khus hua ki ho jaega family wale bhi bahut khus the lekin final list mai nahi hua dukh hua per chalta hai apna ek funda seriously kuch nahi lene ka. Ghar walo ne bola koi na is baar ho jaega lightly bole. Per jab mai dusre kamre mai tha to papa mummy se bol rahe the ho jata to acha hota pata nahi kab mera sir fakr se uthega . mere papa medical officer the retired hogae. unko bas yahi cahie tha ki mai bhi unki tarah officer banu. US din first time cheezon ko seriously lia Fir maine taiyaari start ki is saal jo exam clear hue-
IBPS RRB 0S1
SSC CGL TIER 2
Ibps po pre mai hi fail hogya ..
BA is good . BA ne kafi help ki prashant sir bahut acha guide kare ..
Apni to ladai chalti thi BA Se per acha lagta hai ladai karna BA se ...Ap sab ache dost bane .
Capsule, tonic and injection of BA is best ...
Naam nahi lunga kisi ka mere bahut dost hai kisi ek kaa bhi reh gya to jaan le lega meri...
Love u all bas aur nahi kuch kehna ...
Trend chala hai kuch inspirational likhne ka to two lines --
Kuch logo ko chandi ke chamach mai jindagi rakh ke bhagwan deta hai aur kuch log apni mehnat se chandi ki chamch mai jindagi ko rakhte hai.
jinhe bhagwan se mili hoti hai unhe unka mol nahi hota jisne mehnat se pai hoti hai wo uske lie anmol hota hai...
Ha bahut log puchte hai plan ke baare mai . Job apko karni hai to plan ap banaiye sabka apna strong aur weak portion hota hai to dusro ke plan ka koi fayda nahi.
Har koi puchta hai ki kya kare kaise kare . Bas padhai karna start karo sab apne ap pata chal jaega warna har samay yahi sochoge ki kaise kare.........
GOD BLESS U ALL LOVE U
Share your Indian Bank Interview Experience at contact@bankersadda.com
- http://www.bankersadda.com/2017/03/success-story-ibps-rrb-officer-scale-1.html
No comments:
Post a Comment